kabhi to socho

kabhi to socho kewaqt ko bhi waqt dena hai…abhi kabhi to socho kewaqt kam hai ye charo taraf jo rishto ka ghera hai kabhi hai jhilmil kabhi ghana andhera hai kabhi to socho bhatakti ruho ke jism me jo tairta hai…

kabhi to socho ke

waqt ko bhi waqt dena hai....abhi

kabhi to socho ke

waqt kam hai

ye charo taraf

jo rishto ka ghera hai

kabhi hai jhilmil

kabhi ghana andhera hai

kabhi to socho

bhatakti ruho ke jism me jo tairta hai

ubal raha hai...pighal raha hai

lawa sa ..ehsaaso ka

tamam shaklo

kabhi ansu ..kabhi shikayte

kabhi...koi atki si arzoo hai

jo ghut rahi hai isi me ab bhi

ruhe udti fir rahi hain

kabhi to socho

aisa kyu hai ?

kyu ye bechargi har kahi hai?

kyu bikhar kar hi lad rahe hai?

apni pehchaan kyu nahi hai?

kyu ye sajo - samaj ka hai jungal?😃




kyu insaan ki kami hai?

kyu bikharte hai jazbaat har pal?

kyu rishto me nami hai?

kabhi to socho ..ye waqt kitna hai...par hai mushkil

kabhi to aao..paas betho..

ke waqt ko bhi waqt dena hai abhi

umr ka dakhal dam tod raha hai

kabhi to socho


ojaswini"taru"